Hriday Chintan
labz na keh sake to kya gila
Kambakht aankhe keh jaati hain...
Kya kahen, kinhe sunayen, hriday rikt hai
Ye bas khamosh baith ab sun na chahta hai
Ki Beshak kuchh aap kahen...
Suna hai sabdon ki mala aap se ho kr jaati hai.
Vicharon ka Mel na Sahi,
ye to samast antar-man ka saar hai
In libason ko kisi sharir ki talab na sahi
Dur kahi baithe us chintan se abhipray hai
Ye sabdon ka khel kisi ek prathmikta na ho
Ye to samast jeevan kaal ki vyakhya hai...
Sabd kuchh kahen na kahen
ye aankhein sab keh jaati hain...
:- Puskar Srivastava
Comments