Hriday Chintan
Wo kuchh ankahi si baaten labz na keh sake to kya gila Kambakht aankhe keh jaati hain... Kya kahen, kinhe sunayen, hriday rikt hai Ye bas khamosh baith ab sun na chahta hai Ki Beshak kuchh aap kahen... Suna hai sabdon ki mala aap se ho kr jaati hai. Vicharon ka Mel na Sahi, ye to samast antar-man ka saar hai In libason ko kisi sharir ki talab na sahi Dur kahi baithe us chintan se abhipray hai Ye sabdon ka khel kisi ek prathmikta na ho Ye to samast jeevan kaal ki vyakhya hai... Sabd kuchh kahen na kahen ye aankhein sab keh jaati hain... :- Puskar Srivastava