-: EK Shahar, Jahaan Bachpan tha :-
Kabhi humare bachpan ki gawaahi diya krti thi wo galiyan,
Kuchh Bhaari kadmon ko jod
aaj mehmaan nawaaji ko aayi thi...
himmat ki gathri liye kandhon pr
pahuncha tha use shahar mai
Kuchh yaaden purani Ghar kiye ja Rahi thi
Kuchh dastur adhure kahe ja rahe the
ghadi ki suiyan Mano Jaise
har ek pal Ko nihaar rahi thi
jaane ka waqt Chand lamhon ke paar tha aur
hathon mein yadon ko samet wo hamen nihaar rhi thi
Aankhen nam thi kadam ladkhada rahe the
Aisa Laga Jaise kisi ne thaam liya ho wo haath aur
kheech rha ho un yaadon ke darmiyaa
hum anbujh bhi na the pr
Saanso ki Dor se bandhi
us jindagi ko jeene Ko majbur the
Bachpan ki wo galiyan Aaj mehman nawazi ko aayin thin...
:- Puskar Srivastava
Comments