DOSTI - JAB HUM MILE THE
DOSTI - JAB HUM MILE THE
Wo bhi ek daur tha
jab hum mile the...
The anjaan sabse
tab pahli baar dil khol kr roye the...
Anjaan manjil thi
sunsaan raahe thi...
Rang birange chehre the
jaane q sahme sahme se the...
Wo bhi ek daur tha jab hum mile the...
Laakh dhundha to mila ek sahara tha,
Apne aansu the or apno ki yaadon ka pitara tha...
Sapno ki dour me,
yun kahaa aa gye the...
Jo roti kl tk mithi paani se achhi lagti thi
use aansuon se bhingo baithe the...
Wo v ek dour tha jab hum mile the...
Fir lamho ne karwat liya to kucchh humrahi mile
Kabhi dil se lagaya to sir-ankhon pe bithaya...
Anjaan shahar me mil gye kuchh apne the
khoon ka rista to nae tha pr dil ke sachche the
haan wo mere apne the....
Wo bhi ek dour tha jab hum mile the......
to be continue:-
By :- PusKar Srivastava
Comments