Ek Akeli jindagi hai meri
Ek akeli jindagi hai meri
Khwaab jinme hazaar hain
Chal pda hun safar pe
Manzil shaayad us paar hai
Manjro se bhare in raahon pr
bikhre sapne hazaar hain
Ek akeli jindagi hai meri
khwaab jinme hazaar hain
Thodi thokre bhi lagi hain
Thode jakhm bhi mile hain
Mana Ye Safar thoda anjaan hai
Mukhote se bhare chehre hai yahaan
Ghurrate bhi sareaam hain
Kathputliyon si nachti is duniya me
Banane ko naye kirtimaan
Kuchh is kadar bekraar hain
Shohraton se bari is mahfil ko
Bas ek humara hi intjaar hai
Ek akeli jindgi hai meri
khwaab jinme hazaar hain
Halaaton ladkr nikle hain kahin se
Jana ab us paar hai
Mana ye raste kathin hain magar
iraade ab humare bhi damdaar hain
Laakh thokre lge to bhi kya gam
Nishchay hi uchi udaan hai
Ek akeli jindgi hai meri
Khwaab jinme hazaar hain,
Ek akeli jindgi hai meri
Khwaab jinme hazaar hain...
:- Puskar Srivastava
Comments