Lo Haar gayi meri mohabbat

Lo haar gye hum tumse

kuchh labz byaa krenge
Per ye aankhe, khaamosh rahengi

Achha rha ye safar, Ab thm sa gya
Mukaam haasil na huwe, ye saham sa gya
Humne to bahut kuchh sikha, bahut jaana

Is farebi mohabaat ko bhi pahchana

Dekho ab jhooth bolne lge hain ye lab
Jinse kabhi nafrat thi,unki aadat hone lagi hai ab

Ehsaan hai tera jo tune ye sabaq dikhaya
Meri chaahat ko aazmaaya
Aur mujhe tanhaaiyon ka shahar dikhaya

Azmaaish qubool thi,  gar imaandaar hoti
Kyunki, farebiyo ki shakl nae hoti
wo to bs fareb jaante hain

Imaarat bhi achhi thi, tumne bnaai
Kambakht jhooth ke sangmarmar se bani thi
Kaash Sooraj ki tapti kirno ki sachchaai, jhel paati

Bikhar gayi mere armaano ka gla ghot
Aur Chhod gae hume humse dur 
Shaam ki tanhaai me

Bahut aajmaaya
Aankhon ko bhi rulaaya
Safed rakt bhi behne lge 
pr kuchh bhi haath na aaya
Lo haar gye fir se
Liye haanthon me tanhaayi 
bikhar gye hum kuchh aise

Kitna Achha hota jhoothe waadon me hi sahi
Wo shaam Tere saath guzaar paate
Kitna Axhha hota ki tujhse kuchh aur baat kr paate
Aur
Kitna Achha hota ki hum aaj bhi saath hote

Lo aakhir haar gye hum tumse...


 
                                                          Puskar Srivastava 

Comments

Unknown said…
Amazing๐Ÿ‘Œ๐Ÿ‘Œ๐Ÿ‘
Unknown said…
Amazing๐Ÿ‘Œ๐Ÿ‘Œ๐Ÿ‘

Popular Posts