Kahin khoya sa rahta hun...

Is bheed me aksar akela jaan padta hun

Sabke saath chlta hun pr jaane kyun

Kahi khoya sa lgta hun

Sab to hain yahaan 
ye pal pal ki khushiyan
ye rawaani Ye Khwaabon ka shahar

fir bhi akela jaan padta hun
Is bheed me kahin khamosh baith jata hun

Sab magn hain yahaan 
apni hi dhoon me
Khwaabon ke pichhe to kabhi
Riston ke saaye me jaane kyun 
bhaage se jaan padte hain

Aksar aisa ho jaata hai
Is bheed wali shahar me 
riston ke darmiyaan
akela sa mahsoos karne lgta hun

Kabhi kabhi ek thahraaw ki talaash hoti hai
Ek khamosh shaam ka intjaar hota hai
unke saath hone ki justajoo rahti hai
To subah ki chai me unki hi guftagoo rahti hai 


Aksar aisa hota hai
Dil me ek khwahish si rahti hai

Ye soch aksar kahin kho jata hun
Is bheed se aksar tanhaa ho jata hun...



                                           :- Puskar Srivastava 

Comments

Harshit kr said…
Beautiful๐Ÿ‘Œ๐Ÿ‘Œ❤
Harshit kr said…
Beautiful ๐Ÿ‘Œ๐Ÿ‘Œ❤

Popular Posts