HUM FIR MILENGE


Hum fir milenge,

Tumhari Shaam ki chai me
To Saawn ke baarsih ke naaw me

Tumhare ghar ki dining table pe
hone wali Guftagoo me

To kabhi tumhare shahar ki
unhi purani galiyon me

Ek tumhara intjaar krte hum fir milenge...

kabhi tumhari scooty ki back sit 
pe baithne ke kwaab sanjote
To kabhi tumahri office ki 
us pahli bus stop pe intjaar krte, 
hum fir milenge

Haantho me kuchh panne honge
unpe likhi tumhari kuchh baaten hongi,

Bikhri si kuchh yaaden hongi
Wo Jajbaaton ka sailaab hoga
Pr Hum fir bhi milenge...

Yaadon ki toofan aayegi
Kadam ladkhadaayenge

jab tumse saamna hoga
Ye dhoop ye smay ki suyiya
sab thahar se jaayenge

Wo tumhari pahli aahat pe
hawaaye shor machyengi
panchhi kuhkoo me
ek madhur sangeet sunayenge

hum fir milenge, Ek tere intjaar me
Us mod pe, hum fir milenge...

...Haan Hum fir milenge...



                              :- Puskar Srivastava 

Comments

Anshika said…
Waaahh waaaah... shayar chand..kamal ho ap too...

Popular Posts