'Safarnama' khwahishon ka...
Haseen lamhe, puri hoti khwahishen,
jaise bahhon me mohabbat apni
Kuchh yun saji hai ye shaam aaj ki...
kuchh dur nikal aayen hain apno se
dhundhte khawahishon ki mukaam apni
ye kaisa khwaab hai...
ye meri jeet ki agaaz hai, ya mari haar ke padchinh!
sochta hun to lagta hai kuchh adhura sa hai
zindagi asaan dikhti hai pr
hawaaen aaj bhi gumsum si behti hain...
aaj us aanchal ki baaten hain pr gum hai wo chehra kahin
rosoi me pak rahi roti hai pr unme wo mithas nahi
sochta hun ye kaisa safar hai..
ye mere jeet ki agaaz hain ya mere haar ki padchinh...
khwahishen puri hone izaazat maang rhi hain pr hum adhure hain
maano jaise zimmedariyon se dabe khwaabon ne
baandh rakhaa hai mere kadmo ko
rasoi se aahat bhi aati hai bartano ke khanakne ki
khawahishen thoda sabr kr lo jimmedariyon ne aawaj di hai
chhat se lagi shilan ko dekhte jab kabhi pankhe se baat hoti hai
to mausam ke tapas me wo raat bhi suhaani lagti hai
khwahishen, thoda sabr kr lo, jimmedariyon ne Aawaj di hai....
:-Puskar Srivastava
Comments