Labon pe ek naam rehta hai
Ye raat ab gum sum si hai
mere khwaab aaj bhi tum pe hi shuroo hote hain
ye un mulakaaton ka jikr krte nahi thakte
aur subah dastak de jaati hai
din dhalta hai, jindgi bhagaati hai
sukoon ki talaash me, ye tum tak le jaati hai
ek thahraao hota hai kadmon ki aahat saath rehti hai
kuchh waqt baad raste vilupt ho jaate hain
aur maayushi khwaabon ko samet leti hai
har din ka aalam hai ye, mere pal pal ki kahaani hai
jikr tumahara subah shaam hota hai
ab gumnaam raaston pe, kahin dur un kadmo ki aahat
aur labon pe ek tumhara naam hota hai
Kuchh anjana sa wo ek ehsaas hota hai...
sab khamosh hain
saath chalne waale bhi ab haal nahi puchhte
mere lab, pahle jo baate kiye nahi thakte
ab naam lene ko taras jaate hain
ab to aisa lagta hai
ye kadam mujhe tumse kahin dur dhakele jaa rhe hain
hawaaon ne bhi rukh badal liya hai
mere raaste jo tum tak jaya karte the
Aaj kisi andhkaar me vilupt ho chuke hain
shaayad in raaston pe hi chalna hoga mujhe
khwaabon se samjhota kr saayad aise hi jeena hoga mujhe
aisa lagta hai jaise mere armaan ab mujhe sone nahi denge
wo neend ki talab bhi ab mujhe saant kr degi
ek bechaini jo mere ghar kar gae hai wo
khamosh reh jayegi
humaari kuchh yadein hain, adhuri sahi
Shaayad panno me hi dafan ho jayengi,
Per mai rahunga, tumhari jikr ke saath
dur kahin kisi safar ke darmiyaan
mai rahunga aur tumhari yaaden bhi rahengi...
:- Puskar Srivastava
Comments