Dastoor-e-Zindagi
Kuchh bite lamhon ko ham yad karte Hain
muskurate hain kahin baithe
khwaabon se kuchh baat karte hain
hum unka jikr karte hain
labon se naam unka lete hain
lamhen hume karib laate Hain
chokhat pe dekr dastak, wo fir ojhal ho jaate hain
aankhe khamosh reh jaati hain
Aur libas shithil pad jaate hain
Dastoor-e-Zindagi bhi wajib hai yahan
Milna bichhadna fir Milna
aur fir jaane kisi bheed gum ho jana
kabhi Ghar ki kisi purani album mein dikh jana
to kabhi kitab ke panno mein likhi kahaaniyon me
varsho purani kisi baat mein kabhi jikr hona
to kabhi chai ki chuski lete unka yaad aana
aisi hi kuchh yaaden wo de jaate hain
samay ka khel hai ya khwabon ki meherbani
jikr unka khud se hota hai to kabhi khwabon se hota hai
pal bhar mein log bichhad jaate Hain
Khwab rah jaate Hain yahaa
aankho ko safed rakt de jaate hain
Sham ki us chai pr
mile khat me likhi un jajbaaton ke darmiyaan
Aksar kuchh vaade kagaj ke pannon mein
japt ho jaate hain
log aksar bichhad jaate hain
aur rah jaati Hain unfortunate si vo yaden...
:- Puskar Srivastava
Comments