Mukhoton ka safar
Kabhi Jo socha,
kisi anjaan Safar pe jaaun
Jindagi ki justaju se dur, thoda tanha ho jaaun
Jo baitha khwabon ke darmiyan to yakin aaya
Mukhoton se bhari meri ye duniya
har dafaa bikhar jati hai
Arso ho Gaye Hain is safar pe nikale
Manjil Aaj bhi tanhaa pukarti hai
har taraf wo ek hi chehra
lagta jaise mukhoton ka shhehra
Suraj ki kirno se sinchte
is safar ke saaye me
Jaane kis or andhera hai
Mukhote me chhipa, wo sangin ek chehra hai...
:- Puskar Srivastava
Comments