Aaj Mohabbat ka jikr huwa
Aaj baat Mohabbat ki baat hone lagi
ki Achanak wo poochh baithen
ki Mohabbat kya hai
Aisa Laga mano jaise
gungunate kabuttaron ka ek Joda kahin
bichhad sa Gaya ho
ek bechaini si chhaa gai
Ek ummid, ek intezar, bholi si ek muskurahat
kadmon ki madhyam si chaal
sab ojhal si hone lagin
aisa mehsus hone lgaa
jaise mere bhitar ek tufan jaag gya ho
hawaayen seham gayin, saansen baith gyin
or tan shithil ho gya
Aisa lgaa jaise ashkon ki varmala gudh gae ho
kehte hain kitaben Aksar jina sikhati hain,
ek kitab maine bhi Kholi thi
Mohabbat ke bazzar me
fir baat hui thoda jikr hua
shabd ladkhadayen hothon ne sath chhod diya
sochta Hun ki yeh vaham tha Mera
ya Fir Mera wajud
ki Achanak voh fir puchh baithen
ki Aakhir yeh Mohabbat kya hai
Comments